Teri Paayal Tery Khuwabo’n ki Sadaa. !
Teri Paayal Tery Khu..
Teri paayal tery khuwabo’n ki sadaa. .
Jaisy sehra mein saraabo’n ki sadaa. .
Itna hasaas hun, sun leta hun. .
Shaam k zard gulabo’n ki sadaa. .
Jism sunta hai sakoot-e-shab mein. .
Dil k pur-shor azabo’n ki sadaa. .
Ghaur se sun kisi almari mein. .
Gard aaloodkitabo’n ki sadaa. .
Raat aya tha chambeli ka paighaam. .
Jaisay khoye huay khuwabo’n ki sadaa. !
Ghazal Shayari, Judaii Shayari, Sad Shayari
March 24th, 2013