Yeh samaan bhi badal na jaye kahin..

Yeh samaan bhi badal..

Yeh samaan bhi badal na jaye kahin,
Sazish-e-waqt chal na jaye kahin,

Dil tere hijr ki tapash main kabhi,
Mom ban ke pighal na jaye kahin,

Yeh fasaana meri mohabbat ka,
Zeest meri niggal na jaye kahin,

Naqvi ghabraa ke iss zamaane se,
Raaz sab ke uggal na jaye kahin..

Uzair Naqvi


send poetry

Ghazal Shayari
October 5th, 2015

Comment here

Your Comment: