Jo dil ne kahi woh lab pe kahan ayi hai dekho
Jo dil ne kahi woh l..
jo dil ne kahii lab pe kahaa.N aa_ii hai dekho
ab mahafil-e-yaaraa.N me.n bhii tanhaa_ii hai dekho
phuulo.n se havaa bhii kabhii ghabaraa_ii hai dekho
Guncho.n se bhii shabanam kabhii kataraa_ii hai dekho
ab zauq-e-talab vajah-e-junuu.N Thair gayaa hai
aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaa_ii hai dekho
[vajah-e-junuu.N = reason for madness]
[baa_is-e-rusvaa_ii = reason for disgrace/disrepute]
Gam apane hii ashko.n kaa Khariidaar huaa hai
dil apanii hii haalaat kaa tamaashaa_ii hai dekho
Ghazal Shayari
April 24th, 2010
sadique
July 1st, 2010 at 6:36 pm
Mai khud ko dhundh raha hu…. Laakho parchaiyo me mai khho gaya hu…… ! Milte rehte hai mujhe senkdo log rozana.. Par mai har daur me tanha tha , iss par shikayat kya mai aaj bhi tanha hu … Mai khud ko dhundh raha hu…….! Ulfat ke baazaro me maine dhundha mai na mila.. Milan ke mazaaro par maine dekha mai na tha , mai waqt ki gumshuda fehrisht se gum tha ! Purani maili si kitabo me ab mai na raha… Koii meri taqdeer se kya gaya.. mai tehriro me baaki na raha… Mai khud ko dhundh raha hu……! Ye andhera raasta jis se milta hai wo aashiyane me ik chirag jalta hai….. Uski Deewaro par kuch tasweere hai purani, uss par haatho se chhune ke nishan baaki hai…. Farsh ki dhul par kuch pairo ke nishaan hai naye.. Lagta hai yaha koii aaya tha ! Uss nishan par Qadam rakhte hi maine paya wo mera tha… Tab khayal aaya mai yaha aa kar nikal chuka tha… ! Mai khud ko dhundh raha hu……! suno………….. Mai tumhe kabhi kahin mil jaau…… Mera khayal rakhna kahin mai phir se khho na jaau…. ! Mai apni pehchan tumhe kya batau ! Khud ki khoz me mai khud ko bhul chuka hu…. Mai khud ko dhundh raha hu……!
amjad
July 11th, 2010 at 2:13 pm
Samandar kya karen ge qatra-e-shabnam chura lae’n
Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura lae’n
Baharo’n k chaley janey khiza’n aney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura lae’n
Khabar ho neend ki paryo’n na hi khwabon ki devi ko
Tumhe’n palko’n ki doli mein bitha kar hum chura lae’n
Hame’n jazbat k sehra ko bhi sairab karna hai
kisi tootey huey insa’n ki chashm-e-nam chura lae’n
Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
Jaha’n walo’n ki sari umr aao hum chura lae’n
Sada ki muskurahat un k honto’n pe sajaney ko
Chalo Shahi zara chupkey se un k ghum chura lae’n
Yaseen Shahi
Selected from “Muhabbat ka naya Mausam”
amjad ali
July 13th, 2010 at 11:53 pm
Nazm:”Abhi kuch kaam karney hain”
Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho’n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate’n karni hain
tumhare naam sari rate’n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke’n ge
abhi to you’n bhi hona hai
k teri jheel si ankho’n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho’n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho’n mein tumhara haath thamey
haa’n kisi weera’n sarak pe
chandni raato’n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you’n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko’n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe’n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko’n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain.
Poet:Yaseen Shahi
amjad ali
July 16th, 2010 at 9:49 pm
waqt thora hai guzara nahi jata mujh se
zeest ka qarz utara nahi jata mujh se
taaq se lafz utara nahi jata mujh se
shair is tor nikhara nahi jata mujh se
mera rehber hai to phir meri taraf dhyan bhi kar
har qadam par to pukara nahi jata mujh se
daikh kar mujh ko tujhay Husn-e-atam yaad aye
is qadar khud ko s’nwara nahi jata mujh se
aaj tak jeet meri ho na saki hai lakin
baat you’n bhi hai k hara nahi jata mujh se
aasteeno’n mein palay sa’np dasain ge yasir
aur asar zehr ka mara nahi jata mujh se
Poet:Yasir waheed
amjad ali
July 18th, 2010 at 10:05 pm
how can i send you my posts.there is no button found for this.
Apney jazbaat ankh mein rakh lo
Bus yehi baat ankh mein rakh lo
Zindagi to safar hai sehra ka
Thori barsaat ankh mein rakh lo
Din se jana?n kabhi chhupa k mujhey
Sirf ik raat ankh mein rakh lo
Main hu?n mehwar tumhari chahat ka
Tum meri zaat ankh mein rakh lo
Jin se khwabo?n mein rang bhar jae?n
Aisey lamhaat ankh mein rakh lo
Shahi hum se wafa parasto?n ki
Koi to baat ankh mein rakh lo
amjad ali
July 24th, 2010 at 9:39 am
Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofaan bhi ho jatey hain
Hum ne mehboob jo badla to ta?ajub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain
You?n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
Shehr bhar ko main muhabbat to sikha du?n lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
Hum to purkho?n ki riwayat ko nibhaney ki liye
Hurmant-e-ishq pe qurban bhi ho jatey hain
Hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
Rastey pyar k aasaan bhi ho jatey hain.
By:Yaseen Shahi
amjad ali
July 24th, 2010 at 9:42 am
Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai
Ain mumkin hai tera dhyan badal sakta hai
Zindagi mein hai faqat teri muhabbat ki kami
Tu meri zeest ka unwan badal sakta hai
Ab teri yaad to is dil se nikalney se rahi
Apni taqdeer kab insan badal sakta hai
Hum faqat wasl k qaail to nahi chahat mein
Kab hame?n hijr ka toofan badal sakta hai
Le k phirta hai tere ghum ka hawala shahi
Tu jo chahey to yeh pehchan badal sakta hai.
By:Yaseen Shahi
Iqbal Ahmad
July 26th, 2010 at 2:27 pm
pl send your more latest Ghals
iqbal
Saudi arab
PUDDI
July 26th, 2010 at 4:35 pm
TU BHI JA Ae MOOJE HAWA KAHAN AB RUKE GA KON MARE LIYE M TOH TANHA HO GYA
amjad ali
July 27th, 2010 at 8:06 pm
Sir this is not my poetry.Its only my collection from “Muhabbat ka naya mausam” by Yaseen Shahi.
thanx
hina
August 7th, 2010 at 3:05 am
x
zain
August 10th, 2010 at 6:48 am
hello
TalaT
August 10th, 2010 at 4:09 pm
Apne hi Hote Hain Jo DIL pe Waar kartay hain “Wasi”
Gairon ko Kya Khabar DIL Kis Baat pe Dukhta Hai…….
Hina
August 12th, 2010 at 6:39 pm
Waqat badalta hai zindagi ke saath.
zindagi badalti hai mohabbat ke saath.
mohabbat nahi badalti apno ke saath.
bus apne badal jate hain waqat ke saath.
fanu
August 14th, 2010 at 1:06 am
whaa MasAllah
owais
August 14th, 2010 at 1:40 am
zamane ko jalne do chalo aik saht chalty hain,
nai duniya basane ko chalo aik sath chalty hain.
suna hai saht chalne se mukadar jag utha hai.
yehi bat azmane ko chalo aik sath chalty hain.
kashif qureshi
August 18th, 2010 at 8:51 am
good
Samra Kazmi
August 20th, 2010 at 10:19 am
wo jo geet tum ne suna nahi meri umar bhar ka riaz tha …………………………..mere dard ki thi wo dastaan jisey tum hansi main ura gaey.