Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !

Jaan-e-Aziz Saath Ha..

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain

Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain

Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !


send poetry

Dard Bhari Shayari, Ghazal Shayari, Ishq Shayari, Judaii Shayari
March 26th, 2013

Comment here

Your Comment: