Aangan aangan pyar ke deep jalate hain..

Aangan aangan pyar k..

Hum nagri nagri* jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain,
Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain,

Hum khushbu ke saudaagar* hain aur sauda* sacha karte hain,
Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon* bik jate hain,

Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge,
Hum dil ko chot chupatey hain aur aansu pee jatey hain,

Jo log sharafat waley hain, woh qadrey buzdil* hite hain,
Dushman se nahin dartey woh magar, kam’zarfon* se ghabratey hain,

Hum sachey hain, yeh kese kahen, sach sab ke bass ki bat nahin,
Jo sachhi baatain karte hain, woh peghambar* kehlaatey hain,

Iqbaal to adnaa’a hadim hai, arbaab ilm-o-danish ka,
Yeh aap ka husn-e-samaat* hai jo is pe karam farmaatey hain..

(nagri;town, saudaagar;one who deals, sauda;deal, bin’daamon;without price, buzdil;one who is always scared, kam’zarfon;uncredible, peghambar;prophit, samaat;hearing)

Iqbal Azeem


send poetry

Ghazal Shayari
October 24th, 2012

Comment here

Your Comment: