Aik mohabat, wo bhi Nakam mohabat
Aik mohabat, wo bhi ..
Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai
Dil par pani piny ati hain umeeden
is chashmy main zeher milaya ja sakta hai
mujh benam se pujhty hainFarhad-o-Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai
phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish
is main apna aap chupaya ja sakta hai
Ghazal Shayari
December 5th, 2009