Ajab pagal si larki

Ajab pagal si larki..

Ajab pagal si larki hay
mujhe har khat me likhti hay
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
meri batai’n satati hai’n
meri nendai’n jagati hay
meri aankhai’n rulati hay
Decembr ki sunehri dhoop me
ab bhi tehelte ho
kisi khamosh raste se koi aawaz aati hay
titharti sard raato’n me
tum ab bhi chat pe jate ho
falak k sab sitaro’n ko
meri batai’n sunatay ho
kitabo’n se tumharay ishq me koi kami aai
ya meri yaad ki shiddat se
aankho’n me nami aai
ajab pagal si larki hay
mere har khat me likhti hay
jawabn us ko likhta ho’n
meri masrufiat dekho
subho se sham office me
charag-e-umr jalta hay
phir us k bad dunya ki
kai majborai’n pao’n me
bedia daal rakhti hay
mujhe be’fikr chahat se
bharay sapne nahi dikhte
tehelne jagne roone ki
mohlat he nahi milti
sitaro’n se mile arsa huva
naraz ho’n shayad
kitabo’n se shagaf mera
abhi wese he qaim hay
farak itna bada hay ab
unhe arse me padhta ho’n
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n me yaad karta ho’n
k main khud ko bhulane ki
musalsal justujo’n me ho’n
tuhai’n na yaad aane ki
musalsal justujo’n me ho’n
magar ye justujo’n meri
bohot nakam rehti hay
mere din raat me ab bhi
tumhari yaad rehti hay
mere lafzo’n ki har maala
tumharay naam rehti hay
tumhai’n kis ne kaha pagli
tumhai’n main yaad karta ho’n
purani baat hay jo log
aksar gungunate hai’n
unhe hum yaad karte hai’n
jinhe hum bhool jate hay
ajab pagal si larki hay
meri masrufiat dekho
tumhain DIL se bhulao’n to
tumhari yaad aai na
tumhai’n DIL se bhulane ki
mujhe fursat nahi milti
or is masruf jivan me
tumharay khat ka ek jumla
tumhai’n me yaad rehti ho
meri chahat ki shiddat me
kami hone nahi deta
boht raatai’n jagata hay
mujhe soone nahi deta
so agli bar khat me
ye jumla nahi likhna
ajab pagal si larki hay
mujhe phir bhi ye likhti hay
mujhe tum yaad karte ho
tumhai’n me yaad aati ho’n
tumhai’n me yaad aati ho’n. . . .


send poetry

Ghazal Shayari
April 7th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »