Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha..
Ankhon me raha dil m..
Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha,
Kashti kay musafir ney samundar nahi dekha,
Be waqt agar jaon ga sab chonk parien gey,
Ikumar hoi din me kabhi ghar nahi dekha,
Jis din sey chala hun meri manzil pey nazar hai,
Ankhon ney kabhi meel ka pathar nahi dekha,
Ye phool mujhey koi warasat me miley hain,
Tum ney mera kanton bhara bistar nahi dekha,
Pathar mujhey kehta hai mera chahney wala,
Main mom hun us ney mujhey cho kar nahi dekha.
Bashir Badar
Ghazal Shayari
February 27th, 2013
Nabeel bhatti
March 9th, 2013 at 9:42 pm
Nice
sadaf
May 25th, 2014 at 5:29 pm
can u find me this poetry plz ,,i only could heared its last two stanzas from FM radio ..its some how like this:
saari raath jagata rehta hun khud dard apna
tum pe tou inhesar nahi kr raha hun mai…!
yun tou rahe ho tum bhi safe dushmana mai dost
lekin tumhe shumar nahi kar raha hun mai..!
Perwaz Hussain
November 4th, 2016 at 11:26 am
mukammal ghazal to yaad nae, kuch ashar yaad hain
.
is gham ko ikhtiyaar nahin kr raha hun mein
ye to nahin k pyaar nahin kr raha hun mein
apni udaasiyon k nashay mein hun aaj kal
shaghl e khum o khumaar nahin kr raha hun mein
ab dekhta hun raah me dunya saji hui
ab tera intizaar nahin kr raha hun mein
mein aap apna dard jagata hun raat bhar
kuch tum pe inhisaar nahin kar raha hun mein
youn to rahay ho tumj bhi saf e dushmanan me dost
lekin tumhain shumaar nahin kr raha hun
kuch baat hai k tum ko btanay se peshtar
apna bhi aitbaar nahin kr raha hun mein