Be’sabab na phira karo, Shaam ghar mein rha karo..

Be’sabab na ph..

Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar mein rha karo,
Woh ghazzal ki sachi kitaab hai usey chupke chupke parha karo,

Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo,

Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo,

Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo,

Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,

Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo,

Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai,
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo.


send poetry

Ghazal Shayari
December 30th, 2012

Comment here

Your Comment: