Be’sabab rootha hua hoon maan jaaon kis tarah..

Be’sabab rooth..

Iltajayen us ki phir khatir mein laaon kis tarah,
Be’sabab rootha hua hoon maan jaaon kis tarah,

Jis ko aankhen chahti hain mangta hai dil usey,
Kese dhoka doon unhe, us ko manaaon kis tarah,

Ajnabi sa aashnaa tha naam tak poocha nahin,
Main ne maana laut aaye ga, bulaaon kis tarah,

Hum agar yak jaan do’qaalib hain phir tu hi bata,
Rooth jaye tu agar, khud ko manaaon kis tarah,

Dekh ker sotey mmain us ko pyaar aata hai mujhe,
Main bhala soyi huyi qismat kop jagaaon kis tarah,

Woh kabhi rootha hai na main ne manaya hai usey,
Aaj kyon rootha hai woh, us ko manaaon kis tarah,

Maanta hai jo meri har baat, har zid, har lagan,
Us wafaa paikar se saaqi, rooth jaaon kis tarah..

Rafiq Ahmad Saaqi


send poetry

Ghazal Shayari
February 11th, 2013

Comment here

Your Comment: