Bicharey to qurbaton ki dua bhi na kar sakey..

Bicharey to qurbaton..

Bicharey to qurbaton ki dua bhi na kar sakey,
Ab ke tujhey sapurdey khuda bhi na kar sakey,

Taqseem ho ke reh gaye sad karchiyon me hum,
Naam wafa ka qarz ada bhi na kar sakey,

Nazuk mizaaj log they hum jesey aina,
Tootey kuch is tarha k sada bhi na kar sakey,

Khush bhi na rakh sakey tujhey apni chah me,
Achi tarha sey tujhko khafa bhi na kar sakey,

Esa sulook kar ke tamashai hans parien,
Koi gila guzaar gila bhi na kar sakey,

Hum muntazir rahey koi mushq e sitam to ho,
Tum musalhat shanaas jafa bhi na kar sakey.

Aitbar Sajid


send poetry

Ghazal Shayari
February 24th, 2013

Comment here

Your Comment: