Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha

Bicharte waqt in ank..

Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,
Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha,

Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke,
Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha,

Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye,
So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha,

Qabal iske ke dono bad’gumani mein ulajh jate,
Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha,

Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin,
Jo tum bichre tu phir mera bikhar jana zaruri tha.

Nazia Kanwal Naazi


send poetry

Ghazal Shayari
August 1st, 2012

5 comment

  1. Bas ek yahe baat to Jaan par bhaari hai,
    bicharte huay us sey baat na ho sake.

    Aap ke ghazal ache hai kaafi ache hai.
    Par thora bohat hamain bhe likhnay ke aadat hai
    I also want to share my poetry on this website.

  2. too nice i have no words 4 dis…true nd hard

  3. Words from Heart……!!!!!!!!!!!!!!

    Super nice….

  4. bohat achy alfaz hyn
    bht khobsorat sa akas hy in me sadgi bhi hy aur ghehrayee bi

  5. Nice

Comment here

Your Comment: