Bohat hi chaah se, hasrat se dekhte hain log..

Bohat hi chaah se, h..

Bohat hi chaah se, hasrat se dekhte hain log,
Phir aayiney ko bhi wehshat se dekhte hain log,

Badal diya hai mujhe hijraton ke mausam ne,
Jidar bhi jata hoon khairat se dekhte hain log,

Najane mujhpe yeh kya tu ne parrh ke phoonka hai,
Meri taraf bhi mohabbat se dekhte hain log,

Yahan har aankh pe tera hi hukkam chalta hai,
Sau tujh ko teri ijazat se dekhte hain log,

Yeh kya kashish hai teri jheel jesi ankhon mein,
Jo aese shauq-e-shahadat se dekhte hain log,

Main phir bhi us ko mohabbat ka naam deta hoon,
Mujhe khabar hai murawat se dekhte hain log,

Tum aese kab ho ke shamsheer koi dekhe tumhe,
Yeh jaan lo kisi nisbat se dekhte hain log..

Shamsheer Haider


send poetry

Ghazal Shayari
October 20th, 2012

Comment here

Your Comment: