Dayar-e-hijar ki teergi

Dayar-e-hijar ki tee..

Kabhi yaad aao tou iss terha

K lahu ki sari tamazatein
Tmhein rang rang samet lain
Tmhein dhoop dhoop nikhar dein
Tmhein harf harf mein sooch lein
Tujeh dekhney ka jo shok hou
Tou dayar-e-hijar ki teerge ko
Nakhun ki nook se nooch lein

Kabhi yaad aao tou iss terha
K dil o nazar mein sama sakoo
Kabhi hadd se aagey juno barhey
Tou hawas ban ke bikhar sakoo
Kabhi khil sakoo shab-e-wasal mein
Kabhi khun-e-dil mein sanwar sakoo
Sar-e-rahguzar jo kabhi milo
Na thehr sakoo, na guzar sakoo

Mera dard phir se ghazal bane
Kabhi gungunao tou iss terha
Mere zakham phir se gulab hon
Kabhi muskurao tou iss terha
Meri dharkanein bhi laraz uthein

Kabhi dil dukhaoo tou iss terha

Jo nahi tou phir baree shok se
Sabhi rabtee sabhi zabtee
Kahein dhoop chaoon ma tor do
Na shikast-e-dil ka sitam sahoo
Na suno kisi ka aazab-e-jan
Na kisi se apni khalish kahoo
Yunhi kush raho, yunhi kush phiro


send poetry

Ghazal Shayari
May 6th, 2011

Comment here

Your Comment: