Fursat ke suhaney lamhon mein kya kaam ki batain..

Fursat ke suhaney la..

Fursat ke suhaney lamhon mein kya kaam ki batain hoti hain,
Kuch yaar ka qissa hota hai kuch jaam ki batain hoti hian,

Aye dost tabasum ki lehrain honton pe kahan se ab laaon,
Halaat ke mailay hote hain, ayaam ki batain hoti hain,

Arbaab’khard ki mehfil mein dil aur pareshan hota hai,
Kuch soch ke waqfey hote hain, kuch kaam ki batain hoti hain,

Alaam-e-zaman fursat dain to beth ke dil ka haal kahain,
Uss zulf ki musalsal ki batain, araam ki batain hoti hain,

Jo shair hamare sunte hain masti se Adam sar dhante hain,
Hum ehl-e-tareeqat ki batain, Alhaam ki batain hoti hain..


send poetry

Ghazal Shayari
September 25th, 2012

Comment here

Your Comment: