Guroor Baichay Gein Na Iltajaa Khareedain Ge

Guroor Baichay Gein ..

Guroor Baichay Gein Na Iltajaa Khareedain Ge
Na Sar Jhukaayein Gein Na Sar Jhuka Khareedain Ge

QUbool Karli Hai Deewar-e-CHeen Aankhon Ne
Ab Andhay Loog Hee Rasta Naya Khareedain Ge

Jhukain Tou Osko “Sakhaawat” Lagay Ye Jhukna Bhi
Ab Apnay Qad Ka Koi Devta Khareedain Ge

Ye Ziddi Loog Hain In Se Wafaa Ki Rakh Umeed
Jafaa Guzeedah, Mukarrar Jafa Khareedain Ge

Phir Os “Hujoom” Ka Qibla Durust Ho Kaisay ?
Jo Qibla Baich Ke Qibla Numa Khareedain Ge

Hum Apne Sheher Ki Malka-e-Husn Ki Khaatir
TUmharay Sheher Se Ik Aaina Khareedain Ge

Meri Kitaab Hai Aur Os Haseen Ki Tasweerain !
Mujhe Pata Tou Chalay Aap Kia Khareedain Ge ?

Khareedtay Rahay Hum “Saada Paani” Gar Yunhi
Wo Din Bhi Aayega Hum Sab “Hawa” Khareedain Ge !

Har Ik Cheez Baraaye-Farokht Rakh Dain Ge
Tumharay Pyaar Ki Hum Intehaa Khareedain Ge !

Sharaab Baichnay Waalon Pe “Qais” Hairaan Hun
Sharaab Baich Ke Aakhir Ye Kia Khareedain Ge ???


send poetry

Ghazal Shayari
September 1st, 2012

One comment

  1. NICE AND AALAH,

Comment here

Your Comment: