Hai naseeb sab ka juda juda

Hai naseeb sab ka ju..

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n
meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n

be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n

un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jai’na

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n

ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n

kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “Saleem”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n


send poetry

Ghazal Shayari
December 13th, 2010

4 comment

  1. mujhe khabar thi woh mera nahi paraya tha
    per dharkanoon ne usi ko khuda banaya tha

  2. bhut khubsoorat hai

  3. bhai jisme b ye ghazal likhi baut mast hy kya kahein MEHNDI HASAN SAHAB K LIE BS MASAALLAH

  4. its very nice beauti full any body like share shyre contact 03139243419

Comment here

Your Comment: