Hassrat-e-deed bhi nahin zauq-e-tamaasha bhi nahin..

Hassrat-e-deed bhi n..

Hassrat-e-deed bhi nahin zauq-e-tamaasha bhi nahin,
Kaash pathar hon nigaahen magar aisa bhi nahin,

Jabr-e-dozakh nahin firdous kaa nasha bhi nahin,
Khush hain araaf me hum aur koi khattka bhi nahin,

Ab kisi huur me baaqi nahin ehsaas-e-kashish,
Mere sar pr kisi aasaib kaa saaya bhi nahin,

Woh to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar,
Kya ghazab hai koi uss shokh ke jaisa bhi nahin,

Jiss ka haq tha ke bane sang-e-malaamat ka hadaf,
Zahe tazheek woh ab sheher me rusvaa bhi nahin,

Dhoondh kuch aur hi iblaagh ki suurat ae “saaz”,
Sharh o tafseer nahi ramzz o kinaaya bhi nahin..


send poetry

Abdul Ahad Saaz, Ghazal Shayari
March 2nd, 2014

Comment here

Your Comment: