Is bay kali ka koi bhi saman na ho saka
Is bay kali ka koi ..
Is bay kali ka koi bhi saman na ho saka
Us say bhi mera dard ka darmaan na ho saka
Mil na sakay sitaaray apna naseeb kay
Ya naam tera naam ka anwaan na ho saka
Zinda hain apni laash uthaye hum aaj bhi
Poora wo hum sa marnay ka paimaan na ho saka
Wo jo nahi mila tou khuwahish hi mit gayi
Phir dil main koi paida armaan na ho saka
Wahamoon na is qadar rulaya lahoo lahoo
Dil ya haqeeqatoon par garyaan na ho saka
Jhooli main daal deta Muhabat ki Bheek wo
Itna maharbaan hum pay tou yazdaan na ho saka
Us bay mohar ka shikwa sar e aam kia karain
Hum sa kisi ka zulm youn aryaan na ho saka
Usko jo kho diya rahoon kay beech main
Phir zindagi ka ye safar asaan na ho saka
Ghazal Shayari
March 1st, 2013
roshi
May 11th, 2014 at 11:15 am
Niccccccccccce