Iss se pehle ke dair ho jaye..

Iss se pehle ke dair..

Iss se pehle ke dair ho jaye,
Dua maango, sawair ho jaye,

Karo emaan iss tarah taaza,
Hatam har heir-pheir ho jaye,

Apne rab se woh roshni maango,
Jiss se andhair zair ho jaye,

Karo murdaa zameer ko zinda,
Bhairr andar ki shair ho jaye,

Ho sawa-sair bhi agar dushman,
Tum ko dekhe to sair ho jaye,

Chaand utrey har aik aangan main,
Kehkashaan har munddair ho jaye,

Haq mile sab ko yoon ke phir saanjhi,
Sab ki haandi, changair ho jaye,

Aik bhai ki bhook mittne tak,
Duusra kaise sair ho jaye,

Ho har aik aasteen main aik suuraj,
Kyun kahin phir andhair ho jaye,

Maar do mil ke saarey gadhon ko,
Tung un ka na ghair ho jaye,

Iss se pehle ke dair ho jaye,
Dua maango sawair ho jaye..


send poetry

Ghazal Shayari, Riaz ur Rehman Saghar
April 9th, 2015

Comment here

Your Comment: