Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe

Kabhi jhirrki se kab..

Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe,
Hum gayi raat pe dil ko liye behlaate rahe,

Apne ikhlaaq ki shohrat ne ajab din dikhlaye,
Woh bhi aate rahe, ehbaab bhi sath ate rahe,

Hum ne tu lutt ke mohabbat ki riwayat rakh li,
Un se to poochiye woh kis liye pachtaate rahe,

Uss ke to naam se wabasta hai kaliyon ka gadaaz,
Aansu tum se to pathar bhi pighal jaate rahe,

Yu’n to na’ehlon ke peeney se jigar kat’ta tha,
Hum bhi paimaaney se paimaaney ko takraate rahe,

Un ki yeh waza-e-qadeemana bhi Allah Allah,
Pehle ehsaan kiya, baad ko sharmaate rahe,

Yu’n kise milti hai mamool se fursat lekin,
Hum to is lutf’e’yaar se bhi jate rahe..


send poetry

Ghazal Shayari
September 29th, 2012

Comment here

Your Comment: