Khayal-e-yaar me mujh ko yunhi madhosh rehne do..

Khayal-e-yaar me muj..

Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,
Na poocho raat ka qissa mujhe khamosh rehne do,

Sunaya vasl ka qissa to mere dost yoon bole,
Kahan tum kahan us ki haseen aghosh rehne do,

Mujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekin,
Meri umeed mat torro mujhe pur-josh rehne do,

Mohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iska,
Wafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne do,

Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz khula hai,
Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-nosh rehne do..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
July 6th, 2015

6 comment

  1. lovely poetry soul touching

  2. Ye na pucho ke kithni khoobsurat hai
    Lafz nahi hai mujhe yunhi khamosh rehane do

  3. Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi
    madhosh rehne do,
    Na poocho raat ka qissa mujhe
    khamosh rehne do,
    Sunaya vasl ka qissa to mere dost
    yoon bole,
    Kahan tum kahan us ki haseen
    aghosh rehne do,
    Mujhe maloom hai us ne mera hona
    nahin lekin,
    Meri umeed mat torro mujhe pur-
    josh rehne do,
    Mohabbat jurm hai mera mujhe
    iqraar hai iska,
    Wafaa ilzaam hai to phir mere sar
    dosh rehne do,
    Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz
    khula hai,
    Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-
    nosh rehne do..

  4. Nice

  5. Lovely…………………

  6. Nice

Comment here

Your Comment: