Khille hain phool ke suurat tere visaal ke din..

Khille hain phool ke..

Khille hain phool ke suurat tere visaal ke din,
Tere jamaal ki raaten tere khayaal ke din,

Nafas nafas nai tahdaariyon me zaat ki khoj,
Ajab hain tere badan hadd-o-haal ke din,

Ba-zauq-e-sher ba-jabr-e-maash yakjaa hain,
Mere uruuj ki raaten mere zavaal ke din,

Khareed bethe hain dhoke me jins-e-umr-e-daraaz,
Hamen dikhaaye the maktab ne kuchh misaal ke din,

Na haadse na tasalsul na rabt-e-umr kahin,
Bikhar ke reh gayi lamhon me maah-o-saal ke din,

Main barrhte barrhte kisi roz tujh ko chhhuu leta,
Ke gin ke rakh diye tuu ne meri majaal ke din,

Yeh tajrabaat ke vussat yeh qaid-e-saut-o-sadaa,
Naa puuch kaise karre hain yeh arz-e-haal ke din..


send poetry

Abdul Ahad Saaz, Ghazal Shayari
March 3rd, 2015

Comment here

Your Comment: