Khirrkiyan kis tarah ki hain, aur dar kesa hai woh..

Khirrkiyan kis tarah..

Khirrkiyan kis tarah ki hain, aur dar kesa hai woh,
Sochta hoon, jis mein woh rehta hai ghar kesa hai woh,

Kesi woh aab-o-hawaa hai jis mein woh saans leta hai,
Aata jata hai woh jis par raahguzar kesa hai woh,

Main to us ke aik aik lamhe ka rakhta hoon shumaar,
Aur mere haal-e-dil se be’khabar kesa hai woh,

Us ka hona hi bohat hai, woh kahin hai to sahi,
Kya sarokaar is se mujh ko Zafar kesa hai woh..


send poetry

Ghazal Shayari
October 7th, 2012

Comment here

Your Comment: