Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai..

Khizaan ki rut main ..

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamaal yeh hai,

Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale,
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
April 10th, 2018

5 comment

  1. Wo Bichrra Kuch Iss Tarah K Rutt Hi Badal Gyi …. Aik Shaks Saray Sahar Ko Veraan Kr Gaya…

  2. Hasraton ki tasveer bnaty ha mita datay hai
    hal-e-dil likhthy hai or jala datay hai

    ye shidaty ishq ha ya meri diwanagi
    wahi rubaroo ha jisay ganwa datay hai

    irada qatal tha uss ka ma janta tha
    phir ku jeney ki saza datay hai

    mujh ko bhi ha lakh ghum dunya k raza
    uss k ghum main tamaam ghum bhula dataty hai

    (Ali Raza)

    plz uplod my poetry on internet

  3. how to make my own video

  4. Massallah

  5. If somebody could translate this in English….

Comment here

Your Comment: