Lamha tha mohabat ka amar honay laga hai..
Lamha tha mohabat ka..
Woh jo lamha tha mohabat ka amar honay laga hai
Youn abad meray dil ka nagar honay laga hai
Ab chandani utarti hai meray sehan main aksar
Teray anay say yeh khali makan ghar honay laga hai
Woh lams tha tera jis nay mujhy mahboos rakha hai
Main khud ko bhula doon ga yeh daar honay laga hai
Wehshat thi jin galiyoon main wo ab door hoi hai
Teri khushboo say muattar yeh shehar honay laga hai
Ikk raz bata doon tujhay aa hussan ki devi
Adaoon ka teri mousam pay assar honay laga hai
Sunder Khan
Ghazal Shayari
January 15th, 2013