Lot jati hoon

Lot jati hoon..

Chalo tum chor do mujh ko
Main wapies lot jati hoon.

Tumhain
manzil mubarak ho.

Naya saathi mubarak ho.
Magar phir aey mere

humdam
mujhy itna to batla do…..?

K wapies kis taraf
jaon….?

Kahan se saath laye thay…?
Mujhay itna to samjha

do…?
Agar aisa nahi mumkin….

To muj ko is tarah
torro

K main yaksar bikhar jaon
Bhataknay

se to behtar hai
Tumharay pass marr jaon…..!!!!!!


send poetry

Ghazal Shayari
May 2nd, 2011

Comment here

Your Comment: