Meray sabar ka imtihan na lay

Meray sabar ka imtih..

Meray sabar ka imtihan na lay
meri khamishi ko saza na day

jo tery baghair na jee sakay
usay jeenay ki dua na day

tu aziz dil-o-nazar se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai

mery jism-o-jaan ka ye faasla
kahin waqat aur barha na day

tujhay bhool k na bhula sakon
tujhay chah k bhi na paa sakon

meri hasraton ko shumar kar
meri chahaton ka sila na day

tujhay kabhi milain agar fursatain
meri shaam phir se sanwar day

jo qatal karna hai qatal kar
yun judaiooon ki saza na day…


send poetry

Ghazal Shayari
February 2nd, 2012

Comment here

Your Comment: