Meri sari duaain
Meri sari duaain..
wafa ke qaid khanon main sazain kab badalti hain
badalta dil ka mausam hai hawain kab badalti hain
meri sari duaain tum se hi mansoob hain ae dost
mohabbat ho agar sachi duaain kab badalti hain
koi paakar nibhata hai koi kho kar nibhata hai
naye andaz hotey hain wafayen kab badalti hain
Ghazal Shayari
May 23rd, 2011
Comment here
Next: Log Kehte Hain »