Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota

Mohabbat ki tabiyat ..

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
Ujala baant dene se ujala kam nahin hota


send poetry

Ghazal Shayari, Pyar Mohabbat Shayari
November 18th, 2011

2 comment

  1. Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
    Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota

    Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
    Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

    Mohabbat karne waley tou hamesha sath rehta hain
    Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota

    Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
    Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota

    Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
    Ujala baant dene se ujala kam nahin hota

  2. very nice and true

Comment here

Your Comment: