Mohabbat tark ki main ney gireban si liya main ney..

Mohabbat tark ki mai..

Mohabbat tark ki main ney gireban si liya main ney,
Zamaney ab to khush ho zehar ye bhi pi liya main ney,

Abhi zinda hun lekin sochta rehta hun khuloot me,
Kay ab tak kis tamanna kay saharey ji liya main ney,

Inhey apna nahi sakta magar itna bhi kaya kam hai,
Kay muddat haseen khwabon me kho kar ji liya main ney,

Bas ab damn-e-dil choor do bekaar ummedo,
bohat dukh seh liya main ney bohat ji liya main ney.

Sahir ludhyanvi


send poetry

Ghazal Shayari
February 26th, 2013

Comment here

Your Comment: