Mohabtain jab shumaar karna
Mohabtain jab shumaa..
Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna
Mere hissey mein jo ayi hain woh aziyatain bhi shumaar karna
Jalaye rakhon gi subah tak tumhare raston pe mein aankhain
Magar kahin zabt toot jaye to barishain bhi shumaar karna
Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharkan baraf ho gayi hai
Jab in ki wa-bastagi parkhna, to namaazain bhi shumaar karna
Tum apni majbooriyon ke kissay zaroor likhna wazahton se
Jo meri ankhon mein jal bhuji hain, woh khawhishen bhi shumar karna
Ghazal Shayari
August 12th, 2011
Comment here
Next: Ab dard rehta hai »