Saza Na Ho Jaana
Saza Na Ho Jaana..
-Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana,
Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,
Mushkile To Beshumar Aayengi,
Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,
Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,
Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,
Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai,
Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!
Ghazal Shayari
June 22nd, 2011
Comment here
Next: Bikhar JaOuN To »