Shoq main gum ko baharoon main manatay dekha..
Shoq main gum ko bah..
Shoq main gum ko baharoon main manatay dekha,
Youn saray jazbon ko sare-e-sham sulatay dekha,
Geeli lakri ki tarha raat youn sulagtay guzrey,
Hum nay ankhon say tujhy khwab jalatay dekha,
Meri sansoon ki mehak bhi na tujhy raas aye
Tujhko murjhaye howay pholoon ko mehkatay dekha,
Meray chehray pay hai tayhra woh baywafai ka lamha
Jab tujhay auron say ankhon ko milatay dekha,
Phir main tanha thi aur jag ratay main siskty sansain,
Youn tujhay neend main auron ko jagatay dekha,
Dil ki gehrayoun say teri chahat ko khurach dala hai,
Apnay marnay pay tujhay jab jashan manatay dekha…
Shabeeb Hashmi
Ghazal Shayari
March 6th, 2013
ShahBano
March 7th, 2013 at 6:28 pm
Nayab poetry..
ShahBano
Jazeb
March 9th, 2013 at 11:19 am
Beautiful poetry .. Thanks Shabeeb Hashmi
for sharing with us..
Jazeb
Saba Komal
March 11th, 2013 at 7:00 pm
Zabardast..
S.K