tamam sheher ko hulia bata diya gaya hai
tamam sheher ko huli..

tamam sheher ko hulia bata diya gaya hai
mere faraaar ko mushkil bana diya gaya hai
gharon main bethe huye kamyabi chahte hain
humen duaon ka chaska laga diya gaya hai
gale se lag ke kisi aur ke main sochta hoon
kahan ka joR kahan par laga diya gaya hai
humen talashne walon ka rok kar rasta
hamare baray tajassus baRha diya gaya hai
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Nadir Areez
January 20th, 2022