Tum aik bar zara pyar se idhar dekho..

Tum aik bar zara pya..

Tum aik bar zara pyar se idhar dekho,
To phir rawaa hai ke mujh ko na umar bhar dekho,

Tu mere sath kabhi jin se bar’haa guzra,
Kabhi to aa ke woh sunsaan rehguzar dekho,

Humain na dekho chalo hum udaas hi thehrey,
Jahan hain saaye udaasi ke woh nagar dekho,

Tumharey sath yeh paya hai dosti ka sila,
Mere hareef hain is sheher mein jidhar dekho,

Tumhara haal to sara zamana jaanta hai,
Hamara haal hai kesa zara idhar dekho..


send poetry

Ghazal Shayari
January 12th, 2013

Comment here

Your Comment: