Us mod say shuru karain phir zindagi

Us mod say shuru kar..

Us mod say shuru karain phir yeh zindagi,
Her sheh jahan haseen thi hum tum thay ajnabi.

Lay ker chalay thay hum jinhain jannat ke khuwab thay
Pholoun kay khuwab thay woh mohabbat ke khuwab thay

Laikin kahan hai un may woh pehli si dilkashi ?
Us mor se shuru karain phir yeh zindagi

Rehtay thay hum haseen khayalou ki bheer mein
Uljhay howay hain aaj sawaloun ki bheer mein

Aanay lagi hai yaad woh mohabbat ki her ghari
Us mor say shuru karain phir yeh zindagi

Shayad yeh waqt hum say koi chaal chal gaya
Rishta wafa ka aur he rangoun may dhal gaya

Ashkoun ki chandni say thi behter woh dhoop he
Us mor say shuru karain phir yeh zindagi

Her sheh jahan haseen thi hum tum thay ajnabi.
uss mor se shoro arain hir yeh zindagi


send poetry

Ghazal Shayari
September 20th, 2009

3 comment

  1. Hi i’m Jamil Saifi main shayar tu nahin hun, magar main beemar hun.. Soch raha hun kese dosto ko vida kahun.

    Chalo dosto mujhe ab vida karo, dosti ka farz akhri salam karke ada karo, mujhe bhool jaana, aansu bakakar mujhe aur na satana, muskurata hua tumhen main dekhna chahta hun, jo hui ho mujhse khata uski maafi chahta hun, aise dard se ab main joojh raha hun, ke bahana maut ka ab main khoz raha, chalo dosto ab mujhe vida karo, baap ka sahara choot raha hai, maa ka dulaara rooth raha hai, kitna hasin hai ye nazar hai, shayad kisi farishte ne meri rooh ko pukara hai, chalo dosto ab mujhe vida karo, waqt na apna zaya karo, koi khush hoga mujhe dukh main dekhkar, koi ro raha hai mujhe tadapta dekh kar, koi mere paas betha hai, koi mujhse door rehta hai, wahin se tum mere liye dua karo, chalo dosto ab mujhe vida karo, dukh ye hai ke tu mujhe gale laga na saki, khushi ye hai ke teri duaon main hai wo asar maut mujhe le jaa na saki… I’m still alive thanks.. 🙂

  2. Sab kuch mitaati hai muhabbat
    Gham hi gham de jaati hai muhabbat
    Kuch sunehre khwab jaga kar
    Zindagi bhar rulati hai muhabbat

  3. Iqrar-e-Muhabbat be bahot kaamhai mushkil
    Haan tum sy muhabbat magar mein keh nahi sakta
    Takmeel-e-muhabbat ka imkan nahi abb
    Ye sach hai juda tum sy to mein reh nahi sakta

Comment here

Your Comment: