Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay

Wusat-e-Chashm-e-Tar..

Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay
Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay

Zakhm Per Sabt Kar Na Lab Apnay
Zakhm Ko Chaara Gar Bhi Daikhain Gay

Hijr Ki Shab Say Honslay Apnay
Bach Gaye Tou Sahar Bhi Daikhain Gay

Raat Honay Do,Loog Sonay Do
Chaand Ko Dar-Ba-Dar Bhi Daikhain Gay

Ik Dua Dil Say Chup Kay Maangi Thi
Us Dua Ka Asar Bhi Daikhain Gay

Ik Puraana Safar Tou Khatam Howa
Ik Nayi Rahguzar Bhi Daikhain Gay

Gin Tou Lainay Do Baykafan Laashein
Bay Sada Baam-o-Dar Bhi Daikhain Gay

Chairr Kar Dil Ki Raakh Ko
Ab Ke Raks-e-Sharar Bhi Daikhain Gay


send poetry

Ghazal Shayari
August 18th, 2012

Comment here

Your Comment: