Yeh Duniya hai!
Yeh Duniya hai!..
Usy Kehna Yeh Duniya hai!
Yahan Har Morr pe Aisy bohat sy Loag milty hain!
Jo Andar Tak Utarty hain!
Abad Tak sath rehny ki!
Akathy Dard sehny ki!
Hamesha Bat karty hain!
Usy kehna..!
Yeh Duniya hai!
Yahan Har Shakhs Matlab ki!
Haddon Tak sath chalta hai..!
Jonhi Mausam Badalta hai!
Muhabbat k Sabhi Daaway!
Sabhi Qasmein!
Sabhi Waaday!
Sabe Rasmen!
Achanak Tout jaty hain!
Usy kehna….!
Yeh Duniya hai…!
Ghazal Shayari
May 2nd, 2011
One comment
Comment here
Next: yaad karta hai »
afsha
May 7th, 2011 at 9:06 pm
soooo butifull dill ki bat dill hi janta hai…………….