Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo..

Zakham diye hain tu ..

Zakham diye hain tu phir unka madawa bhi karo,
Mujhko chaha hai tu phir iska dawa bhi karo,

Kaisi uljhan main girftar rahay ho din bhar,
Ho gai raat charagoon ko jalaya bhi karo,

Ajj kuch deer roko pal bhar ko sakoon laynay do,
Itni jaldi main ho tu phir faslay mataya bhi karo,

Woh jo aik dewar meray dil main uthai tu nay,
Khool doo khirky aur aik bar nazar aya bhi karo,

Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai,
Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo..

Shabeeb Hashmi


send poetry

Ghazal Shayari
January 13th, 2013

4 comment

  1. This is the most beautifull poetry, Shabeeb Sahib ko dheroon dad kabool ho.. keep writing Sir, Thanks
    Jazeb

  2. Hashmi Sahib very nice poetry… I am impressed by your poetry.
    ShahBano

  3. Heart touching poetry. Very Very Nice.
    Saba Komal

  4. superb hashmi sahib,
    “Pher wohi khawab wohi sochain wohi tanhai,
    Sahmi ankhoon ko sar-e-sham sulaya bhi karo..”
    speechless

Comment here

Your Comment: