Tere hote janam liya hota..

Tere hote janam liya..

Tere hote janam liya hota,
Koi mujh sa na duusra hota,

Saans leta tu aur main jee uthta,
Kash Makkah ki main fizaa hota,

Hijraton main parrao hota main,
Aur tu kuch dair ko ruka hota,

Tere hujray ke aas paas kahin,
Main koi kacha raasta hota,

Beech taayef bawaqt sang-zani,
Tere lab pe saji dua hota,

Kisi ghazway main zakhmi ho ke main,
Tere qadmon main aa gira hota,

Kash ohad main shareek ho sakta,
Aur baaqi na phir bacha hota,

Teri pakeeza zindagi ka main,
Koi gumnaam waqiya hota,

Paani hota udaas chashmon ka,
Tere qadmon pe behh geya hota,

Poda hota main jalte sehraa main,
Aur tere hath se laga hota,

Pairr hota khajoor ka main koi,
Jiss ka phall tu ne kha liya hota,

Tukrra hota main aik baadal ka,
Aur tere sath ghoomta hota,

Aasmaan hota main ehd-e-nabvi ka,
Tujh ko hairat se dekhta hota,

Bacha hota ghareeb bewa ka,
Sar teri gaud main chupa hota,

Rasta hota tere guzarne ka,
Aur tera rasta dekhta hota,

Main koi jangjuu arab hota,
Aur tere saamne jhuka hota,

But hi hota main Khana Kaaba main,
Jo tere hath se fanaa hota,

Main bhi hota tera ghulaam hota,
Lakh kehta na main rihaa hota,

Mujh pe parrti jo teri nazr-e-karam,
Aadmi kya mojzaa hota,

Chobh hota main teri chokhat ki,
Ya tere hath ka aassaa hota,

Khaak hota main teri galliyon ki,
Aur tere paaon choomta hota,

Soot hota main teri chaadar ka,
Aur tere shaanon pe jhoolta hota,

Mujh ko khaaliq banata ghaar “hassan”,
Aur mera naam bhi hira hota..


send poetry

Hassan Nisar, Islamic shayari, Video Shayari
October 23rd, 2015

Comment here

Your Comment: