Is se aagay to bas la-makaan reh geya..

Is se aagay to bas l..

yeh safar bhi mera

Is se aagay to bas la-makaaan reh geya,
yeh safar bhi mera raayegaan reh geya,

Ho gaye apne jismon se bhi be-neyaaz,
Aur phir bhi koi darmiyaan reh geya,

Raakh poron se jharrti gayi umar ki,
Saans ki naaliyon main dhuaan reh geya,

Ab to raasta bataane pe mamuur hoon,
Be-haddaf teer tha be-kamaaan reh geya,

Jab palat hi chale ho to ae deeda-varo,
Mujh ko bhi dekhna main kahan reh geya,

Mit geya hoon kisi aur ki qabar main,
Mera katbaa kahin be-nishaan reh geya..


send poetry

Anjum Saleemi, Designed Shayari, Ghazal Shayari
December 22nd, 2016

Comment here

Your Comment: