Jism ke is khandDar ki tanhai..

Jism ke is khandDar ..

Jism ke is khandDar ki tanhai,
Aur yeh raat bhar ki tanhai,

Aik tasveer bhi nahin ghar main,
Uff yeh deewar-o-dar ki tanhai,

Koi aahatT na koi saaya hai,
Har qadam hai safar ki tanhai,

Aik aalam ki hai sametTe huye,
Meri fikr-o-nazar ki tanhai,

Meri sanson main bass gayi jaise,
Jan-o-dil ki jigar ki tanhai,

Dekhta hai suraj nikal ke roz,
Yeh mere baam-o-dar ki tanhai,

Raat din rote hain dar-o-deewar,
Kha gayi mujh ko ghar ki tanhai,

Zindagi ke safar main ae arpit,
Dekh li darbadar ki tanhai..


send poetry

Arpit Sharma, Ghazal Shayari
April 17th, 2019

Comments are closed.

Arpit Sharma
Arpit Sharma
Poetries: 3
Separator
love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari