Shab-gazeeda ke ghar naheen ati
Shab-gazeeda ke ghar..
Shab-gazeeda ke ghar naheen ati
khawb main bhi sahar naheen ati
kya sunain des ki sunayen kya
koi achi khabar naheen ati
aayina dusron ki janib hai
apni surat nazar naheen ati
ap muh main zaban rakhte hain
baat karni magar naheen ati
dars dete hain woh mohabbat ka
jin ko zair o zabar naheen ati
meri qismat hai ya pachal-pheri
laut jaati hai ghar naheen ati
bin tere kuch nazar naheen ata
tujh ko atiya nazar naheen ati
Atiya Niazi, Ghazal Shayari
February 12th, 2021