Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai..

Hum pr tumhari chaah..

Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai..

Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazool o ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naaUmeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,
Woh yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat faiz ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai..

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے - فیض احمد فیض


send poetry

Designed Shayari, Faiz Ahmad Faiz, Ghazal Shayari
March 6th, 2017

Comment here

Your Comment: