Ae subh main ab kahan raha hoon..

Ae subh main ab kaha..

Ae subh main ab kahan raha hoon..

Ae subh main ab kahan raha hoon,
Khawbon hi main sarf ho chuka hoon,

Sab mere bagher mutmayin hain,
Main sab ke bagher jee raha hoon,

Kya hai jo badal gayi hai duniya,
Main bhi to bohat badal geya hoon,

Go apne hazar naam rakh loon,
Pr apne sivaa main aur kya hoon,

Main jurm ka etiraf kar ke,
Kuch aur hai jo chupaa geya hoon,

Main aur faqat usi ki khawhish,
Akhlaq main jhoot bolta hoon,

Ik shakhs jo mujh se waqt le kar,
Aaj aa na saka to khush hua hoon,

Har shaks se be-niyaz ho ja,
Phir sab se yeh keh ke main khuda hoon,

Charke to tujhe diye hain maine,
Par khoon bhi main hi thookta hoon,

Roya hoon to apne doston main,
Pr tujh se to hans ke hi mila hoon,

Ae shakhs main teri justuju se,
Bezaar nahin hoon thak geya hoon,

Main sham o sehar ka naghma-gar tha,
Ab thak ke karahne laga hoon,

Kal pr hi rakho wafa ki baten,
Main aaj bohat bujha hua hoon..

اے صبح میں اب کہاں رہا ہوں - جون ایلیا


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Jon Elia
March 5th, 2017

Comment here

Your Comment: