Naya ek rishta paida kyun karein hum

Naya ek rishta paida..

neya ik rishta paida kyun karen hum

Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karen hum

Khamoshi se adaa ho rasm-e-duuri
Koi humgama-barpa kyon karen hum

Ye kaafi hai ke hum dushman nahi hain
Wafaadari ka daava kyon karen hum

Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karen hum

Suna dain ismat-e-Maryam ka qissa
Par ab iss baab ko waa kyon karen hum

Zulekhaa-e-Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karen hum

Hamari hi tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karen hum

Kia tha ehad jab lamhon mein hum nay
To saari umar eefa kyon karen hum

Nahi dunya ko jab parwaah hamari
To phir dunya ki parwaah kyon karen hum

Barehna hain Sar-e-Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karen hum

Hain baashinday issi bassti ke hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karen hum

Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karen hum

Ye basti hai muslamaanon ki bassti
Yahan kaar-e-maseeeha kyon karen hum


send poetry

Ghazal Shayari, Jon Elia, Video Shayari
January 16th, 2012

6 comment

  1. I love every single word of yours. Sir you are Superb.

  2. Jaun ailia marhoom ki shaeri munfarid hai aur ye wali to jiti bar suno har dafa auk naya ehsas hota hai, Great poetry

  3. He is one of a kind…Sadly he have not got much appriciation that he deserve. He gone through hell and his poetry flurished after every disaster that happened in his life.

    No match

  4. 03555351001

  5. Great Shayar who still alive in our hearts will alive forever generations to generations
    Mohd Taha

  6. Very beautiful gazal

Comment here

Your Comment: