Sar hi ab phorriye nadamat main..

Sar hi ab phorriye n..

Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main,

Hain daleelen tere khilaaf magar,
Sochta hoon teri himayat main,

Ruuh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adavat main,

Ab faqat aadaton ki varzish hai,
Ruuh shamil nahin shikayat main,

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hoon badan ki usrat main,

Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothte ab bhi hain murawat main,

Woh jo tameer hone wali thi,
Lag gayi aag us imarat main,

Zindagi kis tarah bassar ho gi,
Dil nahin lag raha mohabbat main,

Hasil-e-kun hai yeh jahan-e-kharab,
Yahi mumkin tha itni ujlat main,

Ae khuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai hamari qismat main..

سر ہی اب پھوڑیے ندامت میں - جون ایلیا


send poetry

Ghazal Shayari, Jon Elia, Video Shayari
August 13th, 2017

3 comment

  1. Good job

  2. matchless

  3. Main shayri likhta hu, aur main chahta k log bhi meri shayri sune ,,
    To main logo tak apni shayri kaise pahunchau

    Milte waqt bicharne ka irada Kiya that,
    Baatie Hui thi ki dooje ke Dil me rehne ki
    Rahe nazro ke saamne Aisa lab waada Kiya tha

  4. Main shayri likhta hu, aur main chahta k log bhi meri shayri sune ,,
    To main logo tak apni shayri kaise pahunchau

    Milte waqt bicharne ka irada Kiya that,
    Baatie Hui thi ki dooje ke Dil me rehne ki
    Rahe nazro ke saamne Aisa lab waada Kiya tha

  5. Main shayri likhta hu, aur main chahta k log bhi meri shayri sune ,,
    To main logo tak apni shayri kaise pahunchau

    Milte waqt bicharne ka irada Kiya that,
    Baatie Hui thi ki dooje ke Dil me rehne ki
    Rahe nazro ke saamne Aisa kab waada Kiya tha

Comment here

Your Comment: