Kon aye ga yahan koi na aaya hoga..
Kon aye ga yahan koi..
Kon aye ga yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaaon ne hilaaya hoga,
Dil-e-nadaan na dharrak ae dil-e-nadaan na dharrak,
Koi khhat leke parrosi ke ghar aya hoga,
Is gulistaan ki yehi reet hai ay shaakh-e-gul,
Tu ne jis phool ko paala woh paraaya hoga,
Dil ki qismat hi main likha tha andhera shayed,
Warna masjid ka diyaa kis ne bhujaaya hoga,
Gul se liptti hui titlee ko giraa kar dekho,
Aandhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga,
Khelne ke liye bache nikal aye hon ge,
Chaand ab uss ki gali main utar aaya hoga,
‘kaif’ pardes main mat yaad karo apna makaan,
Ab ke barish ne usay torr giraya hoga..
Designed Shayari, Ghazal Shayari, Kaif Bhopali
October 26th, 2016