Aah ko chahiye ik umar asar hote tak..
Aah ko chahiye ik um..
Aah ko chahiye ik umar asar hote tak,
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hote tak,
Dam-e-har-mauj main hai halqa-e-sad-kam-e-nahang,
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak,
Ashiqi sabar-talab aur tamanna betab,
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak,
Hum ne mana ke taghaful na karo ge lekin,
Khaak ho jayen ge hum tum ko khabar hote tak,
Yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil,
Garmi-e-bazm hai aik raqs-e-sharar hote tak,
Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaj,
Shama har rang main jalti hai sehar hote tak..
Designed Shayari, Mirza Ghalib
June 14th, 2017